Top 10 Best Most Popular Saree Brand in India ki Jankari Hindi me.

Aaj ke is post me btaugi india ke top 10 Best saree kon konse hai aur kyu best hai sabhi most popular sarees ka Review dugi.

Bhartiya mahilaon ko saree Ka shauk hota hai jada tr tehvar party aur sadi ke mauke per mahilayen Saree pahenna Pasand Karti Hai.

Aur aajkal kuchh mahilayen regular use ke liye simple saree pahenna bhi Pasand Karti Hain. usi ke dekhate huwe.

mai sochi kyo na apne pathako ko india ke top 10 best saree kosa hai es ko batau esliye friends agar aap bhi janna chahti ho.

Ki top 10 best saree konsa hai to mera article pure padhe.

Friends new design ki saree sab se pahale pana chahti ho to Varanasi Sarees naam ke Facebook Group me join ho.

Varanasi Saree Facebook group me join hone ke liye click-kare

yah Group me daly bahut sere new design ke sarees ke post dale jate hai aap waha se easily buy kar sakti ho.

best saree
Photo by Nripen kumar Roy from Pexels

Here is List of Top 10 Best saree

  • Silk saree
  • Banarasi saree
  • Cotton handloom saree
  • Maharashtrian saree
  • patola saree
  • Chanderi Saree
  • Jamdani Saree
  • kalamkari Saree
  • Gadwal Saree

#1. Silk Saree ka Best Review.

silk saree top 10 best ke list me 1 number par aata hai mahilayen bade bade function mein pahnti hain.

yah kafi khubsurat sari hoti hai aur kafi mahangi bhi Hoti hai or is saree me kafi tarh ki khubi hoti hai.

Iska kapda silk hota hai aur kafi chamkila hota hai aur iska kadhai bahut jabardast hoti hai.

kafi Tarah ke kadhai Hoti hai silk saree per kuchh simple hote hain or Kuch border per kadhai hoti hai.

Aur Kuch pure Saree per kadhai hoti hai ye to design ke upper hi kisi tarh ka design Kiya jaiye iski kadhai resham se hoti hai.

aur kuch saree par jari se kadhayi hoti hai white jari ya golden jari se jyada kadhai hoti hai.

Eske alawa Aur bhi colour Ka istamal Kiya jata hai. ye Saree ke colour ke upar dipending hota hai.

ki kis colour ke jari ka prayog kiya jaaye jis se khubsurat designing bane.

aur sath me border ki bhi ache se designing hota hai hath ke paas designing hoti hai aur piche designing ki hoti hai.

Dikane me bahut hi khubsurat lagta hai. aur pahne me aaramdeh bhi hota hai.

#2. Banarasi saree.

Banarasi saree ek alag hi prakar ki sari hai shadi ke shubh avsar per es mahilayen jyada pahanna pasand hai.

uttar pradesh ke chandauli, Banaras, jaunpur, azamgarh, mirzapur, mau, ghazipur aur kafi jile main banarasi saree banai jaati hai.

iska pura material Banaras se aata hai is resham ki sadiyan per Banaras mein kadhai ke sang jari ke design taiyar Kiya jata hai.

Sundar reshmi saree ko banarsi reshmi saree bhi Kaha jata hai.

aur Kabhi issse shudh sone ki jari ka prayog Kiya jata tha. Parantu badhati kimat ko dekhte hue nakali chamakdar jarie ka prayog Kiya jata hai.

ismein bahut prakar ke design banae jaate Hain. inhe Motif kahte Hain Motif aaj bhi apni e pahchan banai hui hai.

Jaise buti, bhuta, BEL, jaal aur jingla, jhalar aur bhi bahut Sare Motif hai.

#3. Cotton handloom saree.

cotton handloom saree aap ko dusro se bilkul alag Look deti hai ye saree mahila bahut pasand karti hai.

politics ki mahilayen abhinetriya is saree ko pehna Pasand Karti Hain.

yah kafi aaramdayak hota hai aur is saree se bahut hi different look create hota hai iski kadhai bahut alag alag trikon ke hoti hai.

Resham ki kadhai aur bhi tarah ki kadhai hoti hai cotton handloom sare bahut hi soft Hoti hai 100% cotton ki hoti hai.

#4. Maharashtrian saree.

Maharashtrian saree Maharashtra main khaas pahani jaati hai Jo lagbhag 9 gaj lambi saree hoti hai.

es sari ko maharashtrian ki mahila shubh avsar per pahnati Hain is saree ki designing bahut hi kash hoti hai

isase pahnane ka apna apna prarambhik style hai jo Maharashtra ki auraton ko hi aata hai.

parantu aaj kal internet ka jamana hai.

aur bhi jagah ki mahilayen internet se search karke is sari ko Panna Sikh chuki Hain.

#5. patola saree.

patola saree ki karigari hath se banti hai yah sari dono taraf se banai jaati hai aur ismein bahut hi barikhi se kadhai hoti hai.

yah reshmi dhage se banai jaati hai hi yah saree ab khatm hone ki kagaar par hai

iska Karan hai ki majdur ko Sahi kimat Nahin mil paati hai.

#6. Chanderi Saree.

chanderi saree ek vishesh prakar ki saree hai iski kadhai hath kregh per ki jaati hai is Saree ka apna SamirdhSali itihaas hai.

pahle yah sirf rajgharane ki mahilayen pahanti thi parantu ab yah saree aap mahilaon tak pahuncha Di gai hai.

kiska Allahabad Bharat mein designing ki jati hai lekin yah saree ki apni khas visheshtaen hai.

chanderi saree banane mein lagbhag sal Bhar ka waqt lagta hai isliye market mein chandri saree ka duplicate bhi banta hai.

lekin aaj bhi chanderi saree ki tulna nahin kar saki koi. esliye aur bhi jyada khubsurat lagti Hain.

jab chanderi saree pahanti hai To rajgharane ki mahilaon ko yah Sadi bahut ki jyada Pasand hai .

Saree ke kapda kaun sa sabse acha hota Hai

ciffon ke kapde halke hone ke karan vah chamakdar bhi hote hain aur premium bhi hote Hain.

isliye mahila jyadatar chiffon ka saree jyada prefer karti Hain Saree ko aur adhik Sundar banane ke liye ciffon ke Jo kapde hote hain

us per aaine ka kam kadhai aur vibhinn Roop se taiyar Kiya jata hai kyunki chiffon sadiyan halke hone ki
vajah se jyada der tak jo bhi rajkumari ,aur party ke liye best hai.

janiye saree ke naam se juda dilchas batein

Har Indian mahila har tarah ki sari pahne chahte hain silk saree, banarasi saree, kalamkari saree etc.

Sa pehna bhi aajkal ka ek shauk Ban chuka hai, patola silk saree ko banane mein Kai mahinon samay lagta hai.

Usi tarah kafi work saree jaise ki kanjivaram saree Kai dinon aur hafte mein bhi taiyar ho jata hai.

to according to design saree taiyar Kiya jata hai.

#7. Jamdani Saree.

jamdani saree bahut theek hai actual mein yah do shabd se banaa hai jaam aur dhani jaam ka matlab hota hai.

ful aur dhani ka matlab hota hai guldasta basically jamdani saree Bangladesh mein banai jaati Hai.

Es Saree ka zikr chanakya ne apne teesri sdi mein kiya tha.

tab se is saree bahut se Indian auraten pahnana chalu kar de iski kimat quality ke upar hoti hai.

#8. kalamkari Saree.

kalamkari saree bhi bahut famous hai aajkal ke time mein bahut se auraten yah sari pahnati Hai.

Friends kalamkari bhi do sabd se milkar banaa hai Kalam aur kari Kalam ka matlab pen hai aur khari ka matlab karigari hai.

yah sari bahut attractive hoti hai isliye ke saree Bollywood ki heroines pahnati Hai.

badi badi heroine jaise Vidya balan, Rekha, Kiran jaise Kai bade bade star kalamkari saree pahan kar Kai filmon mein najar aaye Hain.

#9. Gadwal Saree.

yah sari Telangana mein khaskar banai jaati Hai ya sari bahut hi light vajan ki hoti hai isliye yah sari bahut log pahanta hai.

Es sari ko India ki best saree bhi kaha jata hai India mein sabhi market ho yah online shopping website ho aapko yah sare aasani se Mil jata Hai.

aur is Saree ka jo kimat hai vah 7000 rupaye se 20000 rupaye Tak aasani se Mil jata Hai.

#10. Mauwali Saree Best Saree me Kyo Hai.

mauwali saree mau, ghosi aur ghazipur me banayi jati hai ye saree hand loom ke jariye silk saree banai jati hai.

ye saree ke andar light baut jyada hota hai aur dikhane me bahut jabardast hota hai.

Yah saree ko bahut log varanasi saree ka duplicate bhi kahate hai but mera manna hai ki.

es saree ko kisi ka duplicate bolna sahi nahi rahega kyo ki kuch saree varanasi saree se bhi acha hota hai.

sarres
Photo by Barathan Amuthan from Pexels

online/offline buy saree:– agar aapke market mein stock khatam ho gaya hun to aap aap sari jo hai online shopping kat khareed sakti hai.

lekin online kharidne mein kabhi kabhi hai bada aur chhota free size ho jata hai.

Esliye agar aapko sahi aur jald kisi function attend karna ho aur suitable kapdon ka chayan karna ho to aap offline saree buy Karen.

kyunki aap ofline buy karne se aap suitable size aur colour combination kar sakte hain.

colour of saree:– Saree kharidne se pahle colour combination bahut hi important process hai.

Esliye agar aap sari kharidne ja rahi hain to aapke ke saree per aur kaun sa function mein aapko sari pahne hai.

vah depend karta hai colour per agar aap acche colour ki material se bani saree leti Hain to aap function mein number 1 dekhengi.

Esliye aap apne saree ke rangon ke hisab se colour choose Kare.

Friends mai aasa karti to ki aap india ke sabhi top 10 best saree ke bare me ache se jan gayi hogi.

Ye Bhi Padhiye

Aage bhi esi tarah ki jankari pane ke liye GoodGlo Hindi Blog website ko subscribe kare.

Leave a Comment