Life insurance kya hai ? Life insurance kaise kare, Jaane Hindi mein ?

Life insurance kya hai, Life insurance kaise kare, Agar aapko pata nahi hai, Aur aap Janna chahte ho ki, Insurance kya hai,

Aur aap Iske bare mein, jaanne ke liye, Googal aur Chrome per search kar rahe ho,

Insurence ke bare mein, Aur aap Google mein search karke Hamari, Is website par Aaye Ho,

To aaj aap bilkul sahi, Jagah per Aa Chuke Ho, Kyunki Aaj aapko is article Mein, Puri Jankari Milegi,

Insurence ke bare mein, Life Insurance Kya Hai, Life Insurance Kaise kare,

Iske sath mein Ham, yah Bhi janenge ki, insurance karvane ke fayde kya – kya hai,

Aur Insurance kitne type ke hote hai, Aur insurance karwane ke liye kya – kya documents chahiye,

Aur insurance karvane ke liye kya charges lagta hai, Sab Kuchh janenge, Is artical mein.

Agar aap life insurance karvana chahte ho, To aap ek baar please is article ko pura Jarur padhna,

Life insurance kya hai ? Life insurance kaise kare, Jaane Hindi mein ?
Life Insurance kiya hai

Life Insurance kiya hai ?

Sabse pahle ham yah jante Hai, Ki Life Insurance kya hai, Jaise ki aap Sabhi log Jante Hai, Ki hamara Jivan kitna mahatvpurdh hai.

Yah Jivan Ek Anmol chij hai. Jo Har vyakti ko sirf ek bar hi milati hai, Lekin aaj ke Samay Ki Sabse Badi Baat yah hai,

kis samay kya ho jaaye, kisi ko bhi Kuchh bhi, Apne bare mein pata nahi, Kyunki aaj ke Samay ki sabse khaas baat yah hai,

Sadhko per aaj ke Samay mein. Vike, Bus, tren, trecror, car, aadi vahan bahut he Teji se Chalte Hai,

Is Karan se har roj accident hote hai, Aur har roj Kafi Logo Ki Maut hoti hai,

Isiliye dosto Life Insurance bahut hi Jaruri hota hai, Aaj ke Samay Mein, Har vyakti ka Insurance Hona chaheye,

Is Dhur ghatna Bhari Jivan main, Aapko Insurance karvane se aanek fayde ho sakte hai,

Sabse Badi Baat yah hai, ki agar aap marne ke bad, Apne Parivar ki madad karna chahte ho,

To aap ke liye yah Insurance bahut hi accha Tarika Hai, To ab Ham yah janenge ki Life Insurance Kya Hai,

Insurance

Ek Aise platform Hai, Jiske Madhyam se aapke marne ke bad Bhi, Apne Parivar ki madad kar sakte ho,

Life Insurance Mein Jab, Aap apna Naam Likhwa dete ho, To Bah nam aapka Hamesha ke liye, Insurance Company Mein, Likh jata hai,

Aur Sabse Badi Baat yah hai, ki agar aapke sath Koi durghatna Ho Jaaye, Ya FIR aapki Kisi Karan se Maut ho jaaye,

To aapki Insurance Company, Aapke Parivar ko, Compny ke policy ke mutabik, Aapke Parivar ko Paisa Deti Hai,

is proses ko he, life insurence Kahate Hai,

To ab aap yah to Jaan hi, Chuke Ho ki Life Insurance kya hai, Chaliye ab Ham Jante Hai,

Ki Insurance karvane ke fayde kya hai. Aur Life Insurance Kaise karvaye.

Life insurance kaise karvaye ?

Sabse Badi Baat ye hai, ki Apne naam ka Insurance Kaise karvaay, Insurance ko agar aap karvana chahte ho,

To aap insurance ko 2 pirkaar se karwa sakte ho,

  • Company mein jakar.
  • Online Insurance Company.


Jaise ki aapane Pada ki. Insurance ko aap 2 pirkar se Karva sakte ho, Sabse pahle Ham company mein, Jakar kaise karva sakte hai,

Ye Jante Hai, sabse pahle aapko apni Bharose mond, Life Insurance Company ko Chunna Hoga,

Company select karne ke bad. Aapko company mein Jana Hoga, Company mein jaane ke bad. Aapko company manager se baat karni Hogi,

Baat karne ke bad aapko Kuchh documents dene honge, Jo aapko Aage padhne ko Milenge,

Aur aap life insurence ke bare mein, sari Jankari company ke manager se lenge,

Jaankari lene ke baad, Aap manager ke batay gay raste, ke mutabik apne naam ka insurance karvana hai.

Aur aap Compny mein, jaaker bhi insurance karva sakte hai, Ye tarika to aap samajh hi Chuke Hoge,

Second

Ab Ham dusra Tarika padhte Hai, Dosto dusra Tarika bahut hi Aasan hai, Chaliye Jante Hai,

Sabse pahle aapko, Ye kaam karna hai, ki Aapko sabse pahle company ko select karna hai,

Dosto insurance company mein, Sabse Badi company SBI company Ko Mana jata hai,

Is company mein Bahut hi, Aasani se Insurance Karva sakte ho,

Ab Ham yah Jante Hai, Ki online Life Insurance Kaise karwa sakte hai, Dosto Insurance Ham Ghar baithe, Bhi karawa sakte hai, Insurance karvane ke liye aapko, Google par search karna hoga,

(SBI life insurance Compnay)

Itna saerch karne ke baad, Aapko kuchh compnay ke nomber dikhayi denge, Un Sabhi nomber mein se, Aapko ek nomber ko select karke lagana hai,

Nomber ko lagane ke baad, Aapko compnay se baat karni hai, Baat karne ke baad compnay ki, Taraf se ek manager aaega,

Jo aapke documents, Aur aapse Kuchh Sawal – Jawab Karega, Aur yah sab kam karne ke bad, Aapki salana Aaye ke mutabik,

Aapka insurance ho jayga, Aur ismein insurance karvane ke liye, kya – kya document chahye, Chaliye padhte hai,

Apne product ko online Kaise bheche

Life Insurance Documents Need

Life Insurance karvane ke liye, kya-kya documents ki avashyakta Hoti Hai, Chaliye padhate Hai,

Dosto Insurance karvane ke liye, Anek documents ki jarurat Hoti Hai,

I’d Proof Mein, Lagne baale Documents

  • Passport PAN Card
  • Aadhar Card
    • Address proof mein, Lagne baale Documents
  • Passport
  • Telephone Nomber
  • Aadhar card

Passport Size photo

Age proof mein, Lagne baale Documents

Aapki age kitni hai, Ye dikhna ke liye, aap ye documents laga sakte ho,

  • Passport
  • Adhar cart, Janm thiti,

Fir aapki isme (Medical report) bhi lagai jaati hai, Taaki yeh chack ker sake, ki aapko koai bemari to nahe hai,

Aur ismein aapko, Income proof ka document bhi Dena hote hai,

Agar aap Businessman hai, To aapko
Form business man ka certificate Dena hoga,

Agar aap worker ho, To aapko three months salary slip Deni Hogi,

Life insurance Hindi meaning

Bahut se log Yahi, Confusion Mein Rahte Hai, Ki Insurance Achcha hai, Ya Jivan Bima Achcha hai,

To ab yah confusion aapka Dur kar deta hu mein, Dosto Life Insurance ka Hindi meaning Jeevan Bima hai,

Isliye Kabhi bhi ye nahe sochna chahye, ki best kaun sa hai, Ager Aap sach mein sahi, compnay ke mein,

life insurance karvana chahhte ho, To aapko compnay ke baare mein, jaankari leni hogi,

Life Insurance types

Ab Ham padhenge, insurance ke types. insurance Ke Kitne type hote hai, Aur Sabhi Ke kya – kya Labh Hai, Sab janenge.

Aaj ke Samay Mein. insurance company ke Char Prakar, Se Bhi Jyada Hai, Lekin ham 4 companiyo ke bare mein padenge,

  • Term Insurance
  • Whole life Insurance
  • Money back plan
  • Endowment plan

Chaliye Dosto ab Sabhi Insurance Company  ko details mein padhte hai. Sabse pahle Ham padhenge term insurance company ke bare mein,

Term insurance

Sabse pahle Ham padhte hai, ki term insurance kya hai, Yah Ek life cover insurance hota hai, Yah insurance Samay ki avadhi per nirdharit rahata hai,

Sabse Badi Baat yah hai, ki Yah piyur insurance hai, Agar aap ismein insurance karvana chahte ho, To aage padhe.

Dosto Maan Lijiye aapki age 40 hai, Aur aap is company mein 15 sal ke liye insurance karvana chahte ho,

Aur aap 15 sal ke liye, Ek coror ka insurance karvana chahte ho, Tu Aage padhe.

Jab aap Insurance company mein. 15 sal ke liye insurance Karva dete ho, Aur 15 sal ke andar agar aapki Maut Ho Jaati Hai,

To aapke Parivar Walo Ko, Ek caror rupya Diya Jata Hai, Terms insurance company ki taraf se. Aur aapki 15 saal Mein. Maut Nahi Hoti Hai,

To aapko Har Sal 7,500 Se Jyada rupaye dene Honge, Agar aapki is 15 sal ke andar Maut Nahi Hoti Hai,

To aapke Parivar Walo Ko, Aur aapko koi bhi Paisa Nahi Milega! Aur aap Jo Har Sal kist ke Tarah Paisa Jama Karoge, waha paisa bhi aapko nahi diya jaega.

Ab ham padenge, whole life insurance ke bare mein, Yah kya hai,

Whole life insurance

Whole yah Ek insurance ka Pirakar hai, Aur iski sabse khaas Baat yah hai, ki yah insurance ko jo vyakti kara leta hai,

To yah insurance jab tak, vyakti jeevit Rahega us samay tak chalta Rahega.

Isiliye is insurance ko whole life insurance Kaha Jata Hai,

is insurance ko aap Chaho, To 10 Sal, Ya 20 sal ke liye bhi kara sakte ho, Lekin sabse Jyada log puri Jivan ke liye, Isko Karate Hai,

Ab Baat yah aati hai, ki is insurance ko karvane se fayda kya hoga, Aur Paisa kab Milega Chaliye Jante Hai,

Dosto ismein Jab aap registration Karate ho, To aapse poochha jata hai, ki aap insurance kitne varsh ke liye Karana chahte ho,

To aap jitne varsh ke liye Bata Kar Karva dete ho, Aur uske baad time pura ho jata hai, To aapko Paisa Milta hai,

Maan Lijiye ki aap 20 sal ke liye whole life insurance Karvate Hai, FIR aapko 20 Sal Tak ismein paise Jama karne hote hai,

FIR Jab aapke 20 Sal pure Ho Jaate Hai, To aapko Paisa Milta Hai, Lekin agar aap Jivan bhar ke liye, Isko Karate ho,

To aap jab tak jeevit Rahoge jab tak aapko Paisa Jama karna hoga, Aur aapke marne ke bad, Aapne jo aap insurance Karvate Samay,

Jis vyakti ka naam likhvaya Ho, us vyakti ko aap ke marne ke bad Paisa mil Jayege, Ab Ham padhte Hai, Money back plan ke baare mein. Yah kya hai,

Money back plan

Dosto yah insurance bahut Achcha hai, Agar aap ismein insurance karvana chahte ho to kam se kam aapki 13 sal ki age honi chahie,

Aur agar Jyada Se Jyada age Ki Baat, kare to aapki lagbhag 50 Sal se kam honi chahie, is insurance ki sabse khaas Baat yah hai,

ki is insurance main, aapko policy ke mutabik sath hi, Sath paise Milte rehte hai, Aur jab aapka insurance ka samay, Pura ho jata hai,

To bhi aapko maturity, ke hisab se Kuchh paise mil Jaate Hai, Chaliye ab Ham Jante Hai, Endowment plan ke bare mein, ki yah kya hai,

Endowment plan

Agar aap Endowment plan Mein, insurance karvana chahte ho, To yah aapke liye sabse accha plan ho sakta hai, Is insurance ke Anek fayde Hai,

ismein agar aap 30 sal ki age Mein Karate ho, Aur aap 15 sal ke liye Karate ho, To aapko 15 Sal Tak 7000 Se Jyada paise, 1 Sal Mein, Ek Bar dene Honge,

Yah paise aapko, Har Sal dene Honge, Aur jab 15 Sal pure Ho Jaynge, To aapko paise company ki taraf se Diye Jaenge,

Agar aapki insurance, ke Samay Maut Ho Jaati Hai, To aapke Parivar walo ko, 1 lakh rupaye,

And uske sath mein, Bonus ke roop Mein, paise diye Jaate Hai,

Life Insurance best companies

Agar aap life insurance karvana Chahat ho, To Aapka yah Janna bahut hi jaruri hai, ki sabse acche Insurance Company kaun si hai,

Chaliye Jante Hai. Agar Humko yah Maloom Hoga, Ki Insurance karwane ke liye sabse acchi company kaun si hai,

To Ham Bharosa Karke company ke sath, Insurance karwa sakte hai, Insurance karvane ke liye sabse acchi company,

SBI Mani Jaati Hai, Iske alava bhi bahut sari companiya Hai,

Jaise ki HDFC, ICICI, Tata, AIA, Life Insurance company hai, Insurance karvane ke liye Anek Prakar ke companiya Chal Rahi Hai,

Aur bahut Sare log ismein, Apne naam ka Insurance Karva bhi rahe hai, Kyunki life insurence ke Anek fayde Hai,

Dosto Jis Prakar aap, life insurance Mein, paise co-invest kar sakte ho, Usi Prakar aap mutual fund main bhi invest kar sakte ho,

Aur apne paise ko Dugna Bada sakte ho, agar aap Janna chahte ho, ki mutual fund kya hai, To niche De Gai Link, par click Kare, aur is article ko padhe.

Life insurance

Mutual Fund

Leave a Comment