What is Web Hosting hindi me jane Website Hosting kya hai aur es ko kaise kharide aur sab se acha web hosting konsa hai.
Web Hosting yek server hota hai jaha ham apne website ko host karte hai.
Website me use hone wala file ya data ko jis jagah par rakhte hai us jagah ko website hosting kahte hai.
Website hosting cpanel ke madad se aap ke website me use hone wala file ya data ko apne andar save karta hai.
Jis tarah aap ke mobile me rakha photo, video and file aap ke mobile me file manager folder me save hota hai.
Usi tarah yek website me use hone wala photo, video, file and content web hosting server me save hota hai.
Hosting ka matlab hota hai website me use hone wale file ko store karne wale jagah ko website hosting kahte hai .
Table of Contents
Website hosting ka Cpanel Kya Hota Hai
Cpanel automatic aap ke website me use hone wala logo, banner, video, file aur content ko web hosting server me save karta hai .
Jis tarah aap ke mobile ke gallery me jo kuch bhi dikhata yo sab automatic aap ke mobile ke file manager me save hota hai .
Usi tarah website me jo kuch bhi dikhata hai us ko cpanel le ja kar web server me save krta hai usi ko cpanel kahte hai .
Cpanel se aap decide karte hai ki aap ko website kis platform par develop karna hai .
How To Buy Web Hosting Server – Hindi me jane Kaha Se Kharide
Market me web hosting company bahut sare hai aap ko jis par full trust ho us se kharid sakte hai .
Market me top ten me 10 company hai baki aap deside kar le ki aap ko kyn company acha lag raha hai .
Top 10 hosting company ka review aur rank dekhiye kuch samgh nahi aaye to comment kariye .
Top 10 Web Hosting Company
Here Is A List Of Top 10 Hosting Company In India – Ranked – Ye 10 Hosting ki Sab Se Achi Company India Me Hai .
1. Hostinger.com
2. GoDaddy.com
3. Hostgator.com
4. A2Hosting.com
5. Bluehost.com
6. BigRock.com
7. AimsBro.com
8. HostingRaja.in
9. CloudWays.com
10. Namecheap.com
===================================
#1. Hostinger Review | Hostinger Services are good
Hostinger bahut acha hosting sale karne wala company hai in ke company ke hosting me hamesa ache offer rahte hai .
Hosting lete samay ham ko sab se jyada jo check karna chahiye yo hai company ka support . Hostinger 24/7 support up time deta hai.
Hostinger ka offical website https://www.hostinger.com hai
Ye apne coustmer ko bahut ache se support dete hai aur in ka server 99.9% time up time me rahta hai .
Hostinger review aur rank ke mamle me 3 no. par jagah bana kar hai . ye company se server lene par bahut sare doman free me deta hete hai .
Hostinger indian logo ke liye best hai in ke support india ke sabhi languages me available hai .
#2. Godaddy Reviews | Godaddy Hosting Offers
Godaddy company ka server indian jyada use karte hai is ka support india ke sabhi language me 24/7 dete hai .
Ye company ka price toda jyada hota hai lekin bahut sare plan par doman name free me provide karta hai .
Godaddy 99.9 % time up time me rahta hai ys ka offical website www.godaddy.com hai .
Es ka ranking 2 no. par server ke mamle me hai . in ka server bahut acha hota hai .
#3. Hostgator Review | Hostgator Server Status
Hostgator yek server provider company hai is ka server mughe pasand nahi hai but bahut sare log use kare hai .
Es ka renking 3 no. par aata hai ranking to acha hai in ke support me toda provlem hai .
But mughe ye company ka server bikul acha nahi lgta .
Aap ko agar chahiye to use kar sakte hai is ka offical website www.hostgator.com hai
#4. A2 Hosting Review | A2hosting Service
A2hosting wordpress website ke liye acha hota hai ye log apne clients ko support ache se deta hai .
Es ka server 97.5% time uptime rahta hai is ka uptime toda kam hai baki sab server provider se
A2hosting ka offical website www.a2hosting.com hai .
#5. Bluehost Review | Bluehost Hosting Plans
Bluehost ka server ko ache se use karna chahate hai leptop ya computer me use kare ye mobile me ache se nahi chalta hai .
ys company ka starting price 3.95 doller mahine ka hai india ke 300 INR monthly ka hisab se hota hai .
Bluehost ka officel website https://www.bluehost.com hai
#6. BigRock Review |Best Bigrock Hosting Plans Here
BigRock bahut big aur rack dono hai es company ka hosting domain par bahut ache se run karta hai .
Aap es company ko monthly rent pay kar sakte hai aur yearly bhi pay kar sakte hai .
Bigrock ka server bahut acha mana jata hai in ka hosting 59 Rs monthly rent se start hota hai .
In ka offical website https://www.bigrock.in hai .
#7. AimsBro Review | Hosting Service Provider Company
yek yeysi domain aur hosting services provider company hai jis me aap ko kuch karna nahi hota hai .
Aap ko jo chahiye only phone par bolege ki aap ko kya chahiye yo Aims Bro ka team aap ko sab kuch redy kar ke user passwords dedega
AimsBro server aur Domain selling ke alaya website design aur development ka kaam bhi karta hai .
AimsBro ka ranking 7 no. par aata hai es ka official website http://www.aimsbro.com hai .
#8. HostingRaja Review | Hostingraja VPS Server
Mera yek friends ne bola Hostingraja ka VPS server acha hota hai to mai socha use karu .
Mai is ke site par yek time support se baat karna chaha but baat nahi ho paya tha
Es liye mughe ye company pasnad nahi aap ko chahiye to aap in ka server use kar sakte hai .
Hostingraja ka offical website www.hostingraja.in hai .
#9. CloudWays Review | Cloudways Pricing
Cloudways pricing ke mamale me toda jyada hota hai lekin in ka server har platform par acha chalta hai
Es company ka sabhi product ka price jyada hota hai baki sab company ke mukable
Aur price ke hisab se uptime nahi milta hai is ka uptime 98 % hai .
Cloudways ka offical wabsite www.cloudways.com hai
#10. Namecheap Hosting Review | Namecheap Web Hosting
Namecheap ko to aap name se hi pta laga sakte hai hai es ka web hosting yak dam cheap quality ka hota hai .
Ye 10 no. par apna rank bana kar rakha hai.
Namecheap Hosting ke liye bahut purani company hai ye domain name bhi sale karte hai .
ys ka offical website https://www.namecheap.com hai .
Namecheap me automatic DNS connect hot jata hai ager aap in ke company se domain bhi lege to .
Web Hosting Kitane Prakar Ke Hote Hai – Types Of Web Hosting
Web Hosting bahut jyada types ka hota hai lekin 4 prakar ka server sab se femas aur jyada use hone wala hai .
- Dedicated Hosting
- Shared Web Hosting
- VPS ( Virtual Private Server )
- Cloud Web Hosting
- Dedicated server jyada traffic jis ke pass hota hai us ke liye ye server hota hai jyada traffic wale website ko ache se chalata hai .
- Shared server ko aap kai logo ke sath aap share kar sakte hai ys server ko bahut sare log mil kar use karte hai .
- VPS server low traffic walo ke liye hota hai ye server ka price toda kam hota hai aap starting me is ko use kar sakte hai .
- Cloud web server ye mediam traffic walo ke liye hota hai aur ye saerve mediam traffic ko ache se chala hai .
Note – aap sab server ko jab chahe koyi dusre server par upgrade kra sakte hai .
Offline hosting server kya hota hai
USB ko offline hostings server kahate hai . USB driver computer aur mobile ke backup server me bahut use me aata hai
Agar aap apne computer ya mobile ka backup bna kar rakhte hai to kabhi bhi aap ka data ya file gayab (mis) nahi ho sakta
Mere hisab se jo bhi leptop ya mobile use karte hai . un sabhi log apne data ya file ka backup USB drive me jarur bna kar rakhana chahiye .
USB driver offline hosting server hota hai jis me log apne computer aur mobile ka data ya file ka backup bana rakhte hai .
Agar aap mera blog doman kya hai kaise kahride nahi padhe hai to domain name kya hai aur kaise kharide is ko jarur jane click kare padhe
Friends mai aasha karta hu ki web hosting kya hai aur kaise kharide sab kuch ache se amgh aa gya hoga .
App ko blog kaise lga comment kare
Leave a Reply