Arunachal Pradesh mein kitne district hai ? Aur sabhi jilo ke Naam padhe ?

Arunachal Pradesh mein kitne district hai. Aur sabhi jile ke Naam kya hai . Dosto ager aap koai exam ki taiyari kar rahe ho.

Ya FIR aap apne bhart ke baare mein jankari prapt karna chahte ho. To is article ko ek baar jarur padhe.

Arunachal Pradesh bharat ka ek uttar purvi rajya hai.

Arunachal ka hindi me aarth hota hai. Ugte huye surya ka parwat. Bharat me surya sabse pahle arunachal Pradesh me hi ugte hai.

Isiliye is rajya ka naam arunachal Pradesh rakha gaya hai.

Arunachal Pradesh district ki asthapna 20 february 1987 ko hua tha. Aur tab se lekar 2015 tak is rajya me 19 jile the. Lekin 2015 me 1 naya jila bnaya hai.

2017 me phir 2 naye jile bane. Aur phir 2018 me 3 naye jile bane.

Is prakar arunachal Pradesh me ab kul 25 jile ho gaye hai. Aur arunachal pradesh district me abhi kul gawon ki sankhya 5616 hai. 

Arunachal Pradesh mein kitne district hai ? Aur sabhi jilo ke Naam padhe.
District

Is prakar  aap ye jan chuke hai ki

Arunachal Pradesh me kitne jile hai. 

Arunachal Pradesh district ki rajdhani etanagar hai. Jo ki is rajya ka sabse bada sahar bhi hai. 2011 ke jangadna ke anusar yeha ki kul jansankhya 13,83,727 hai.

Rajya ka kul kshetraphal 83,743 kilomiter squre hai. 

Pradesh ki simaye. Dakshin me asam, dakshinpurv me Nagaland. Purv me barma/Myanmar, paschim me Bhutan aur uttar me tibbat se milti hai.

Pradesh ki bolchal ki mukhya bhasha hindi hai. Arunachal Pradesh district. Chine ke tibbat swayat kshetra ke sath 1129 kilo miter sima sajha karta hai .

Arunachal Pradesh naitik rup se vividh rajya hai. Jisme mukhya rup se paschim me. Monpa log Kendra me tani log, purv me taee log aur dakshin me naga log rahte hai. 

Upper ke lekh ko padh ke apko arunachal Pradesh me kitne jile hai hai. Aur arunachal Pradesh ki jansankhya kitni hai ? iska pa chal gaya hoga.

Iske aatirik arunachal Pradesh ke bare me jankari bhi mili hogi. 

Ab aaeye apko btate hai ki

Arunachal Pradesh ke jilo ke naam kya hai ? 

Arunachal Pradesh ke jilo ka naam nimnlikhit hai –

  • Aanjav jila .
  • Changlang jila.
  • Purvi kameng jila.
  • Purvi siyang jila .
  • Lohit jila.
  • Longding jila.
  • Loar subansiri.
  • Papum pare jila.
  • Twang jila.
  • Tirap jila
  • Loar dibang ghati 
  • Upari siyang jila
  • Apar subansiri jila
  • Paschim kameng jila
  • Paschim siyang jila
  • Upari dibang ghati
  • Kurung kumey jila 
  • Naamsaee jila 
  • Kra dadi jila 
  • Pakke kesang
  • Shi-yomi
  • Siyang 
  • Nichla siyang 
  • Lepa rada 
  • Kamle 

Aab aap arunachal pradesh ke sabhi jilo ka naam jan chuke hai. Ab aaeye apko btata hu. Ki in jila ka mukhyalay kaha hai. Aur 2011 ke Jangadna ke anusar yeha ki

India me total dosto kitne state hai ager aap yah padhna chahte ho to padhne ke liye click kare isme aapko india ke sabhi state ke rajdhani ke baare me bhi jaankari milegi.

Arunachal pradesh mein abadi kitni hai ?

  • Jila                     headquarters            population 
  • Aanjav jila             hawaee                21,089
  • Changlang jila        changlang                147,951
  • Purvi kameng jila    seppa                78,413
  • Purvi siyang jila         pasighat                99,019
  • Lohit jila            teju                    145,538
  • Longding jila        longding                60,000
  • Loar subansiri        ziro                    82,839
  • Papum pare jila        yupiya                176,385
  • Twang jila            twang                49,950
  • Tirap jila            khonsa                111,997
  • Loar dibang ghati     roeng                53,986
  • Upari siyang jila        yingkiong                33,146
  • Apar subansiri jila    deporijo                83,205   
  • Paschim kameng jila    bomdila                87,013
  • Paschim siyang jila    aalo                    112,272
  • Upari dibang ghati    aaninee                7,948
  • Kurung kumey jila     koloriyang                89,717
  • Naamsaee jila         naamsaee       
  • Kra dadi jila         jamin
  • Pakke kesang        lemmi                NA
  • Shi-yomi            ttto                    NA
  • Siyang             pangin                NA
  • Nichla siyang         likabali                NA
  • Lepa rada             basar                    NA
  • Kamle             raag                    NA

Arunachal Pradesh ke jile ka prashashn jila adhikari dekhta hai. Jansankhya ke adhar par upiya sabse bada jila hai ttha yingkung sabse km jansankhya walajila hai .

Arunachal pradesh ke 4 sabse jyada saksharata wale jile hai wo hai –

  1. Papum pare jila , yahan ki saksharta dar 79.95 % hai 
  2. Loar subansiri jila, yahan ki saksharta dar 74.35% hai 
  3. Purvi siyang jila , yahan ki saksharta dar 72.54% hai
  4. Loar dibang ghati , yahan ki saksharta dar 69.13% hai 
2011 ke jangadna ke anusar Arunachal Pradesh ke sabse adhik jansankhya wale jile ke naam – 
  1. Papum pare jila. Yahan ki kul jansankhya 176573 thi 
  2. Changlang jila. Yahan ki kul jansankhya 148226 thi
  3. Lohit jila. Yahan ki kul jansankhya 145726 thi
  4. Paschim siyang jila . Yahan ki kul jansankhya 112274 thi
  5. Tirap jila . Yahan ki kul jansankhya 111975 thi
  6. Purvi siyang jila. Yahan ki kul jansankhya 99214 thi . 
Sabse adhik linganupat wale arunachal Pradesh ke jile – 
  1. Kurag kumai jila. Is jile ka linganupat 1032 hai.
  2. Purvi kameng jila. Is jile ka linganupat 1029 hai.
  3. Upari subansiri jila. Is jile ka linganupat 998 hai. 
Arunachal Pradesh k Sabse adhik vikas dar wale jile 
  1. Kurag kumai jila . is jile ka vikash dar 116.56% hai. 
  2. Upari subansiri jila . is jile ka vikash dar 50.78% hai.
  3. Loar subansiri jila. is jile ka viklash dar 49.00% hai.
  4. Papum pare jila is jile ka vikash dar 44.73% hai.

Kshetraphal ke hisab se arunachal Pradesh ka sabse bada jila dibang ghati hai. Jiska kshetraphal 9129 warg kilomiter hai , aaeye dekhte hai.

Arunachal Pradesh ke sabse jyada kshetraphal wale jile – 

Dibang ghati jila . iska kshetraphal 9129 warg km hai .

Paschim siyang jila. iska kshetraphal 8325 warg km hai .

West kameng jila. iska kshetraphal 7422 warg km hai. 

Upari subansiri jila . iska kshetraphal 7032 warg km hai . 

Mukhya Jile Arunachal Pradesh

Sabse jyada ghanatwa wale mukhyatah do jile hai. Pahla papum pare iska ghanatwa 51 warg k.m hai. ttha dusra tarap iska ghanatwa 47 k.m hai.

Ab aap arunachal Pradesh me kitne jile hai ?unke naam kya hai ? aur inke mukhya jilo ke bare me jan chuke hai ab aaeye apoko arunachal Pradesh ke.

khunsurti se ru -baru karwate hai .

Yadi apko dharti part swarg ki anubhuti karni hai. To aap arunachal jaeeye ,arunachal Pradesh bharat ki sabse khubsurat rajyo me se ek hai.

Yaha ki sundar phadiyan , yahan ki wadiyan, yahan ke phado wale ghumavdar raste, suramya pahad, barfili dhundh , prasidh baudh math ,

darre aur shant jhile apka mn moh legi , yahi wo khusurti hai. Jo arunachal ko arunachal bnati hai , yahan ki ghubsurti me aap dub jayenge . 

Yaha ke paryatko ka bahut achha anubhav rahta hai. 1993 me jems hiltan ne ek upanyas likha tha. Upanyas ka naam lost horaejan tha.

Ismein inhone ek rahasyamayi ghati Shangri-la ka jikra kiya hai, jise arunachal Pradesh me hi kahi btaya jata hai.

Inhone apni kitab me likha hai. Ki himalay ki ghati me dudh aur madhu ki chhupi hue eek dharti hai. Jaha par koi bhi budha ya kurup nahi dekha , unka kahne ka aarth tha.

Ki yahan ke log bahut sundar hote hai. to aaeye aapko arunachal ke kuchh khas jagaho se parichit karwate hai. 

Tawang 

Ise arunachal Pradesh ka ek vichitra aur prachin paryatn sthal mana jata hai. Jaha prakriti ke adbhut najare dekhne ko milte hai.

Yaha ki barfili chotiyon aur barfili darrayen ek romanchkari yatra ka anubhav karati hai.

Yaha ki sundar jhile aur shant jharne dekhkar to jaise yahi bas jane ka man karta hai. Tawang kaee mahatwapurn aur sundar matho ke liye bhi jana jata hai.

Isiliye jab bhi aap yahan ghumne jayen to in matho ki sair aawasya kare .

zero velly 

samundratal se karib 5600 fit ki unchaee par sthit zero velly duniya ki sabse khubsurat jagaho me se ek hai.

Yeha aakar aapko aisa lagega jaise aap dharti par nahi balki swarg me ho. Prakriti aur shanty dekh kar yahan bitaye gaye samay ko aap kabhi nahi bhul payenge.

Vakaee bahut hi romantic jagah hai . 

Roing 

uttar me dibang ghati ki phadiyon aur nadiyon se ghira hua roeeng ek behad hi khubdurat paryatan asthal hai.

Yaha ki barbh se dhaki chotiyan , ashant nadiya aur rahasyaon se bhari phadiya. Ek alag hi duniya me aane ka ahsas dilati hai.

Kabhi arunachal aaye to ek baris jagah ki sair jarur kare.

gorichen pic

yah arunachal Pradesh ki sabse unchi choti hai , jo samundra tal se karib 22,500 fit ki unchaee par sthit hai.

Tracking karne wale aur parwatarohiyon ke liye yah ek behatrin jagah hai. Aap yahan ghumne ja sakte hai. Barf se dhaki wadiyan apko swarg ki anubhuti krayengi. 

To is lekh me aapne arunachal Pradesh ke kitne jile hai , unke naam kya hai , saksharta dar kya hai. Vikash dar kya hai. population kitni hai.

kshtraphal kya hai . Iske alawa aapne aaj is lekh me arunachal Pradesh ki khubsurti ke bare me bhi jana . 

Ab yadi aapko kabhi kahi ghumne jane ka mauka milega to mujhe aasha hai. Ki aap ek arunachal ki khubsurti ko apni aankho se anubhav karne ka prayatn jarur kijiyega . 

mujhe aasha nahi purn vishwas hai. Ki aap jis jankari ko janne keliye is lekh ko padh rahe the. Ise adhik hi apko jankari mili hai. Yadi apko jankari pasand aae hai.

Anachal Pradesh fact

Dosto Agar aapne yah article starting se pada ha. To aap Arunachal Pradesh ke bare mein Sabhi Kuchh Jankari prapt kar Chuke Hoge. Ab Ham arunachal Pradesh ke fact padenge.

Chaliye to padhne start Karte Hai.

Dosto sabse bada Arunachal Pradesh ka fact yah hai. Ki Uttar Purvi ke kshetrafal mein sabse Jyada Bada jila hai.

Andhra pardesh me kitne jile hai ager aap yah padhna chahte ho to click kare

Arunachal Pradesh ka sabse bada fact yah hai. Ki is Jagah per Barsa bahut jyada hoti hai. 

Anachal Pradesh mein Anek jatiyo Ke Log rahte hai. Yaha per aapko 26 Se Bhi Jyada jaati Ke Log Rahane wale log Milenge.

Is Jagah per aap kabhi bhi ghumne ke liye Bhi Ja sakte ho. Ye Jagah ghumne ke liye bahut hi Sundar hai.

Is jagah ki jo sabse khaas Baat aur Sabse Badi baat yah hai. Kii is Jagah per aapko 70% Se Bhi Jyada Ban Milenge. Aur Yaha per Ban Bhoomi bahut jyada hai.

Arunachal pradesh mein ghumne ke stahn

Dsoto baise to ghumne ki jagha ka koai kami nahi hai. Lekin ager hm apne bhart ki baat kare. To hamre bhart me bhi koai kami nahi hai. Lekin bhart me bhi kuchh ase sthan hai jo bhart me kaafi prsiddh hai. Jaise ki nainitaal. kasmir bhi kaafi khusort hai. Jharkhan me bhi kaafi sathan hai jo ghumne ke layk hai.

Ager aap prkti ko dekhna chahte ho to ek vaar arunachal Pradesh ghumne jarur Jay.

Dosto arunachal bhart ke sabhi rajya me sabse khubsoort hai. Yah Rajya Bhutan. Mambyar. Cheen etc. Se teeno site se ghira hua hai. Yah ki sabse badhi baat yah hai.

Yah pr sb Road ba sadhak ghume Marg ke hai. Aur gol gol raste hai. Aur yah sthan chaaro site se pahadho se ghira hai.

Islye yah pr jo jata hai. Bo bahi ka hona chahta hai. Dosto Agar aap arunachal pradesh mein ghumne ke liye jana chahte ho.

To aap ek baar tawang Jarur Jay. Yah sthan Sunder matto ke liye prsiddh hai.

Yah Sthan smundr se kaafi uchai pr hai.

Ab me aapko etanagar ke bare mein Jankari deta hu. Yah arunachal ki rajdhani hai. Ise prkrti ka surg bhi kaha jata hai.

Is sthan ki sabse khas baat yah hai. Ki yah pr musam hamesa tthanda hi rahta hai. Is sthan ko apne Jivan me ek baar jarur dekhe.

Ab baat aati hai jeero ki yah arunachal Pradesh ka ek share hai. Yah sthan chabl ki kheti ke liye prsisddh hai. Is sthan pr bho musam hamesa suhana rahta hai. Is sthan pr bhi aap ghumne ke liye ja sakte ho.

Bomdila ager aap arunachal pradesh mein rahte ho. To aapne bomdila sahr jarur dekha hoga. Yah bhi kaafi khubsoort hai.

YAH pr aap seb apple ke bageeche bhi dekh sakte ho.

Roing bhi dosto arunachal ka prsisddh place hai. Jo sandar jharne. Aur barfila elakha purane purattb jaise cheers se mashhur hai. Yah pr kaaf log har saal ghumne aate hai.

Dosto hamne aapko jo jankari di kaise lagi. Comments karke jarur batay. Aur aapka ghumne bale sthan ke baare me kya Ray hai. Yah bhi batana . Kya aap is sthano pr ghumna chahte ho ya nahi yah bhi jarur batay.

Aur agr aap in sabhi sthan ke baare me koai jankari Prapt karna chahte ho to hme smprk kare.

To apne dosto ke sath shere kijiye . 

Dhanyawad .

Arunachal Pradesh District padhne ke baad ise bhi padhe.

Punjab mein kitne district hai. Sabhi district ke naam kya – kya hai. Padhne ke liye reading more button per click Kare.

Ismein aapko Puri Jankari Milegi Punjab district ke bare mein.

Reading More

Makeup kit online shopping karne ke liye uski Jankari Hona bahut jaruri hai. Jankari pane ke liye reading more button per click Kare.

Aur artical Ko Ek Bar Jarur padhe. Is article main aapko Puri Jankari makeup kit online shopping ke bare mein Milegi. Padhne ke liye reading more button per click Kare.

Reading More

ise bhi padhe

Dosto Indian history ke bare mein aur Jankari prapt karne ke liye aap is book ko khared sakte ho. Jo niche hai. Kharedne ke liye buy now button per click Kare.

Buy now Low price

Indian history ki best book ismein aapko Puri Jankari Indian history ke bare mein Milegi. Kharedne ke liye buy now button per click Kare.

Buy now high price book

Leave a Comment