Karnatak mein district kitne Hai ? Karnatak ke jilo ke naam kya hai ?

Karnatak mein district kitne Hai ? Karnatak ke jilo ke naam kya hai ? Yadi aap karnatak ke bare me jaankari prapt karna chahte ho. To is article ko ek baar jarur padhe.

Isme aapko puri jaankari milegi karnatak ke baare me. Jaise ki sabse jyada populer sahr ke naam kya hai. sabse jyada jansnkhya baale jile koan se hai.

Iske bare me janna chahte ho. To in sabhi jilo ke naam janna chahte hai. ya karnatak se judi chhoti- badi koi bhi jankari chahte hai.

To aap hmare is blog par bane rahiye. Aaj ham aapko karnatak se judi har baat btane ka prayas karenge.

karnatak mein District
Karnatak district

Karnatak district ki asthapna kab ki gai thi ?

Dosto karnatak ko pahle log Kannad kaha karte the. lekin baad me iska naam badal kar karnatak kar diya hai. Ab ise karnatak kaha jata hai. Ye dakshin bharat ka ek rajya hai.

Is rajy ko 1 november 1956 ko rajya. Punargathan adhiniyam ke tahat maisur ke kuchh jilo ko kat kar kiya gaya tha.

Pahle yah rajya masur rajya ke naam se jana jata tha. Lekin baad me 1973 me punarnamkaran kar iska naam karnatak kar diya gaya. 

Simaye Karnatak ki kisse se milti hai ?

Dosto Karnatak ki simaye Paschim me arab sager se milti hai. Uttar paschim me goa se milti hai. Uttar me Maharastra se iski simay milti hai. Purv me Andhra Pradesh. Dakshin-purv me Tamilnadu aur Dakshin me Kerala se lagti hai.

District Karnatak ka earth kya hai ?

Dosto karnatak shabd ke udgam ke kaee vyakhyawo mein se sarwadhik swikrit vyakhya yah hai. Ki karnatak shabd ka udgam kannad shabd karu.

Aarthat kali ya unchi aur Nadu arthat bhumi ya Pradesh ya kshetra se aaya hai. Jiske sanyoja karunadu ka pura aarth hua. Kali bhumi ya uncha Pradesh. 

Kala shabd yaha ke byalusim kshetra ki kali mitti se aaya hai. Aur uncha ya dakkan ke pathari bhumi se aaya hai.

British raj me yaha ke liye karnetic shabd ka prayog kiya jata tha. Jo Krishna nadi ke dakshin or ki praydwipiy bhumi ke liye prayukt hai aur mulatah karnatak shabd ka apbhransh hai.

Karnataka ka Itihas kya hai ?

Karnatak ka ek vistript itihas hai. Jisne samay ke sath kaee karwaten badly hai. Rajya ka pragaitihas pasan yug tak jata hai. ttha isne kaee yugon ka vikas dekha hai.

Rajya me Madhya aur nav pashan yug ke sakshya milte hai. Haddappa me khja gaya swarn karnatak ke ki khano me milta hai.

Is p[rakar agr ham lamba dekhe to karnatak ka itihas bahut lamba hai .

Ab aaplog karnatak district ke bare me bahut achchhi – achchhi jabnkariya jaan chuke hai. Ab aaeye apne mul topic par aate hai.

Aur jante hai ki karnatak me kitne jile hai aur unke naam kya hai?

India me kitne state hai aap yah padhna chahte ho to padhne ke liye click kare

Karnatak district me kitne jile hai ? Aur unke naam kya hai ?

Shuruaat me maisur ke kuchh jilo ko kaat kar karnatak rajya bnaya gaya tha. Phir 1973 me pure maisur ko karnatak ke naam se jana jane laga.

Abhi karnatak district me kul 30 jile hai. Aur yadi ham in 30 jilo ke gawon ki sankhya dekhe. To karnatak me abhi kul gawon ki sankhya 29736 hai.

Chandigarh me kitne jile hai Aur sabhi ke naam kiya hai ager aap yah jaankari prapt karna chahte ho to is article ko padhe isme aapko puri jankri milegi.

Jilo ke naam kya hai ?

Karnatak ke 30 jilo ke naam nimanlikhit hai –

Kram sankhyaJilo ke naam
01Bagalkot jila
02Banglor jila
03Banglor gramin jila
04Belgam jila
05Bellari jila
06 Bidar jila
07Vijaypura jila 
08Chamrajnagar jila
09Chikabllapur jila
10Chikamaglur jila
11Chitradurg jila 
12Dakshin kannad jila
13Davangere jila
14Dharwad jila 
15Gadag jila
16Gulbarga jila 
17Hasan jila
18Haweri jila
19Kodagu jila
20Kolar jila
21Koppal jila
22Mandya jila
23Maisur jila
24Raychur jila
25Ramnagar jila
26Shimoga jila
27Tumkur jila
28Uddupee jila
29Uttar kannad jila 
30Yadgir jila 

Ab aap karnatak district ke (jilo) ke naam jan chuke hai. Ab aapko 2011 k jangadna ke anusar har jile ki abadi. Jila mukhyalay aur kshetraphal batate hai.

Niche di gae pranali me apko jile ki jansankhya, jila mukhyalay aur kshetraphal padhne ko milega– 

SL. NO.Jila ka naamJila mukhyalayJansankhya(2011)Kshetraphal(warg km)
01Bagalkot jilaBagalkot18897526583
02Banglor jilaBengluru96215512190
03Banglor gramin jilaBengluru99099232239
04Belgam jilaBelgavi477966113415
05Bellari jilaBallari24525958439
06Bidar jilaBidar17033005448
07Vijaypura jilaBijapur217733110517
08Chamrajnagar jilaChamrajnagar10207915102
09Chikabllapur jilaChikaballapur12551044208
10Chikamaglur jilachikamagalur11379617201
11Chitradurg jilaChitradurg16594568437
12Dakshin kannad jilaMangluru20896494559
13Davangere jilaDevnagiri19454975926
14Dharwad jilaDharwad18470234265
15Gadag jilaGadag betgere10645704651
16Gulbarga jilaKalaburagi256632610990
17Hasan jilaHasan17764216814
18Haweri jilaHaweri15976684825
19Kodagu jilaMadikeri5545194102
20Kolar jilaKolar15364014012
21Koppal jilaKoppal13899205565
22Mandya jilaMandya18057694961
23Maisur jilaMaisur30011276854
24Raychur jilaRaychur19288126839
25Ramnagar jilaRamnagar10826363573
26Shimoga jilaShivmoga17527538495
27Tumkur jilaTumakuru267898010598
28Uddupee jilaUddupi11773613879
29Uttar kannad jilaKarwar143716910291
30Yadgir jilaYadgir11742715225

Sabhi jilo ki kuchh khas baate

Karnatak district me kul milakar 30 jile hai. Banglore jile ki janasankhya aur janasankhya ghanatwa sabse jyada hai.

Belgam jile ka kshetraphal sabse jyada hai. ling anupat uddupi jile ka sabse adhik hai. Yaha 1094 mahila prati matra 1000 purush pr hai. 

karnatak me aise 6 jile hai. Jaha par mahilawo ki sankhya puruso se adhik hai. In sabhi je naam. yah hai.

  1. Raychur
  2. Chikamanglur
  3. Hasan
  4. Kodagu
  5. Dakshin kannad 
  6. Uddupi

Ab aaeye pradali se dekhte ki kya anupat hai mahula purush ka –

Sl. No.Jile ka naamLing anupat
01Uddupi1094
02Dakshin kannad1020
03Kodagu1019
04Hasan1010
05Chikamaglur1008
06Raychur1000

Dakshin kannad jile sabse jyada sakshar hai. Yaha ki saksharta 88.57% hai. Karnatak ke 7 jile aise hai jaha ki saksharata 80% se jyada hai ye jile hai.

  1. Dharwad
  2. Shimoga
  3. Kodagu
  4. Uttar kannad
  5. Uddupi
  6. Banglor
  7. Dakshin kannad 

Ab aaeye pranali se dekhte hai saksharta dar – 

Sl.no.Jile ka naamSaksharta
01Dakshin kannad88.57
02Banglor87.67
03Uddupi86.24
04Uttar kannad84.06
05Kodagu82.61
06Shimoga80.45
07Dharwad80

Karnatak Mein Sabse adhik jansankhya wale District kaun se hai?

Dosto jansakhnya ki baise to koai kami nahi hai. Lekin in sabhi jilo me kuchh jyada hi jansnkhyta hai. Isi kardh se yah ke log bahut kam padhe likhe hai.

Sl.noJile ka naamJanasankhya (2011)
01Banglor9621551
02Belgam4779661
03Maisur3001127
04Tumkur2678980
05Gulbarga2566326
06Bellari2452595
07Bijapur2177331
08Dakshin kannad2089649

Sabse adhik vikash dar wale jilo ke naam.

Dosto karnatak me sabse jyada vikaas bale jile ye sab hai. Jo ki ek smart city hai. Aur yah pr log bhi padhe likhe hai . Aur sadhke bhi pakki hai. Islye ise vikaas baale jilo me gina jata hai.

No.Jile ka naamVikash dar
01Banglor47.18%
02Yadgir22.81%
03Bellari20.99%
04Bijapur20.50%

Karnatak mein Sabse adhik kshetraphal wale District

Dosto jo naam aapko niche diye hai. Yah karnatak ke sabse jyada kshetraphal bale jile hai. Ye jilo ki abadi kaafi adhik hai.

Sl.no.Jile ka naamKshetra (warg km)
01Belgam13415
02Gulbarga10990
03Tumkur10598
04Bijapur10517
05Uttar kannad10291

Karnatak Mein Sabse adhik ghanatwa wale District –

Sl.no.Jile ka naamGhanatwa(/warg km)
01Banglor4378
02Dakshin457
03Banglor gramin441
04Maisur437
05Dharwad434

Karnatka district rajya ka sabse bada jila belgam hai. Lekin janasankhya ke hisab se shahri banglore jila hai.

Ab aapne karnatak ke bare me bahut kuchh jan liye hai. Ab aaeye apko karnatak ke khubsurti ke bare me kuchh avgat krate hai.

Karnatak ke District mein ghumne layak sthano ke naam kya hai ?

Dosto Karnatak bharat ke top 4 paryatan asthalo me se ek hai. Aur Karnatak bharat me aakarshan ka ek guldasta hai.

Uttar me belgam se dakshin me banglor tak bahut sari jagahe jha aap ghum sakte hai.

Karnatak ki rajdhani bengluru bharat ki silicon velly startup aur IT companyon ke shahar se jana jata hai.

Karnatak har sal bhari sankhya me paryatako ko apni or aakarshit karta hai.

Iski wajah wha ke kuchh pramukh jagah jaise – kurg, maisur pailesh. Hampi. Vijaynagar aur chikamaglur ke khandahar etc.

Aaeye kuchh pramukh jagaho ke bare me jante ha.i 

Kurg

Karnatak me apne aakarshak pahado ke liye kurg bahut masahur hai. Yaha par cophi ke bagan ko har koi dekhna chahta hai.

Wahan ke khubsurat pahad. Bagan aur nadiya aapka man jeet lengi. yah pr jaane ke baad aapka aane ka man nahi karega.

Is sthan pr har saal laako log ghumne aate hai. Ager aap bhi jana chate ho to ja sakte ho.

Gokarn

Gokarn karnatak ka ek pramukh paryatan asthal hai. Jo ki apne prachin samudra tato aur luhawne paridrishyo ke liye jana jata hai. Apko bta du ki gokarn karnatak ka ek prasidh hindu dharm asthal hai. Yah pr sabse jyada aabadi hindu dharm ke logo ki hai.

Hampi

Hampi sahar apne khandaharo ke liye bahut prasidh hai. Jiski wajah se ise unesko vishwa dharohar asthal ka darja bhi mila hai. Apko bta du ki hampi ko karnatak ke top paryatan asthalo me gina jata hai.

Yaha pr vijay nagar samarajya ke 500 prachin asmarak. Sundar mandir. Halchal wale strit market. Gadhaur kaee prakritik asthal maujud hai. 

Is tarah ke mahut sari chije dekhne layak hai. Yadi aap kabhi karnatak aaye to jarur in sabhi jagaho ko dekhe. Aur is sthan pr ek baar ghumne ke liye jarur jay.

Ager aap har saal ghumne ke liye jaate ho. To hamre is website ko follow jarur kre kyunki ham apni site pr har parkaar ki jankari dete rahte hai. 

Dosto me aapse asa kartahu ki aapko yah article pasnd aya hoga yah saari jankari aapke samajh aayi hogi.

Aur aapko ghumne baali jaghao ke baar me jaanker kaisa laga jarur batay.

Dhanyawad.

Ise bhi padhe

Delhi mein kitne district hai
Mizoram mein kitne jile hai
Jharkhand ke sabhi jilo ke naam kiya hai
Arunachal Pradesh me kitne district hai
Andhra Pradesh me kitne jile hai sabhi ke naam
Chandigarh me kitne district hai aur sabhi ke naam
Telangana me kitne district hai ?
Manipur mein kitne district hai ?

Ise ek baar jarur padhe

Facebook group India best group kaun sa hai. Janna chahte ho. To reading more button per click Kare.

Ismein aapko Puri Jankari Facebook group ke bare mein Milegi. Kaun sa group achha hai sab Jankari aapko Milegi jaanne ke liye reading more button per click Kare.

Reading More

Bihar Mein Kitne district Hai. Sabhi district Ke Naam Kya – Kya Hai. Jaanne Ke Liye reading more button per click Kare. Is article main aapko Puri Jankari Bihar ke bare mein mil Jayegi.

Reading More

Dosto Indian history ke bare mein aur Jankari prapt karne ke liye aap is book ko khared sakte ho. Jo niche hai. Kharedne ke liye buy now button per click Kare.

Buy now Low price

Indian history ki best book ismein aapko Puri Jankari Indian history ke bare mein Milegi. Kharedne ke liye buy now button per click Kare.

Buy now high price book

Leave a Comment