Madhya Pradesh mein kitne district hai ? Aur jile ke naam kya hai? Madhya Pradesh mein kitne Mandal Hai ? Agar aap pata lagana chahte hai.
To aap bilkul sahi post par aaye hai. Is post mein aapko simple aur aasan bhasha mein bataya gya hai.
Ki Madhya Pradesh mein kitne district hai aur Madhya Pradesh mein kitne Mandal hai ?
Namaskar dosto swagat hai aapka is post mein. To dosto aaj ke is post me aapko pata chalega ki Madhya Pradesh me kitne district hai ?
Aur Madhya Pradesh mein kitne Mandal hai.
Aapko is post me Madhya Pradesh ke bare mein bahut kuch bataya jayega. Agar aap Madhya Pradesh ke bare mein janna chahte hai.
To is post ko jarur shuru se last tak padhiyega.
Madhya Pradesh ki rajdhani Bhopal hai. Yehi Bhopal jile ka mukhyalay bhi sthit hai.
Kuch mato ke anusaar is shahar ka naam Bhopal, Raja Bhopal Shah ke naam par pada hai.
Bhopal shahar ko ‘Raja bhoj ki nagri ’ bhi kaha jata hai. Is shahar me kai chote -bade taal(jhile) bhi sthit hai jis karan se ‘Jhilon ka nagri ’ ke name se bhi jana jata hai.
To chaliye ab hum aapko batate hai ki Madhya Pradesh mein kitne district hai aur district ka name kya hai.
Table of Contents
Madhya Pradesh mein kitne district hai ?
Vartmaan samay mein Madhya Pradesh mein 55 district hai.
- Agar Malwa
- Alirajpur
- Anuppur
- Ashoknagar
- Balaghat
- Barwan
- Betul
- Bhind
- Bhopal
- Burhanpur
- Chachaura
- Chhatarpur
- Chhindwara
- Damoh
- Datia
- Dewas
- Dhar
- Dindori
- East Nimar
- Guna
- Gwalior
- Harda
- Hoshangabad
- Indore
- Jabalpur
- Jhabua
- Katni
- Maihar
- Mandla
- Mandsaur
- Morena
- Nagda
- Narsinghpur
- Neemuch
- Niwari
- Panna
- Raisen
- Rajgarh
- Ratlam
- Rewa
- Sagar
- Satna
- Sehore
- Seoni
- Shahdol
- Shajapur
- Sheopur
- Shivpuri
- Sidhi
- Singrauli
- Tikamgarh
- Ujjain
- Umaria
- Vidisha
- West NNimar
Dosto ab aapko pata chal gaya hoga ki Madhya Pradesh mein kitne district hai aur district ka name kya hai.
Ab aapko aage ke post me pata chalega ki Madhya Pradesh mein kitne mandal hai aur mandal ka name kya hai.
To chaliye ab hum aap logo ko batate hai ki Madhya Pradesh mein kitne mandal hai aur mandal ka name kya hai.
Madhya Pradesh mein kitne Mandal hai ?
Vartmaan samay mein Madhya Pradesh mein 10 Mandal hai.
- Bhopal Mandal
- Chambal Mandal
- Gwalior Mandal
- Indore Mandal
- Jabalpur Mandal
- Narmadapuram Mandal
- Rewa Mandal
- Sagar Mandal
- Shahdol Mandal
- Ujjain Mandal
Dosto ab aapko yeh bhi pata chal gaya ki Madhya Pradesh mein kitne mandal hai aur mandal ke name kya hai.
Ab aapko aage ki post me hum aap logo ko batayenge ki Madhya Pradesh me area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai ?
Madhya Pradesh mein Area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai ?
Dosto agar aap Madhya Pradesh se hai to aapko pata hoga ki Madhya Pradesh mein Area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai.
Agar aapko nahi pata hai to aapko is post me pata chal jayega.
Madhya Pradesh me area ke anusaar sabse bada district Chhindwara hai. Aur Madhya Pradesh mein Area ke anusaar sabse chota district Datia hai.
Dosto ab aapko yeh bhi pata chal gaya hoga ki Madhya Pradesh mein Area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai.
Ab aapko aage ke post me bataya jayega ki Madhya Pradesh mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai.
Madhya Pradesh mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai ?
Dosto agar aap Madhya Pradesh se hai to aapko pata hoga ki Madhya Pradesh mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai.
Agar aapko nahi pata hai to hum aapko batayenge. Madhya Pradesh mein sabse adhik population wala district Indore hai.
Aur sabse kam population wala district Harda hai.
Dosto yeh bhi topic ab aapko pata chal gaya ki Madhya Pradesh mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai.
aapko pata chalega ki Madhya Pradesh mein kitne ganv hai.
Madhya Pradesh mein kitne Ganv hai ?
Dosto agar aap Madhya Pradesh se hai to aapke paper me ya kahi par bhi yeh question jarur pucha gaya hoga ki Madhya Pradesh me kitna Ganv hai ?
Agar aapko nahi pata hai ki Madhya Pradesh mein kitne ganv hai to aapko is post me bataya jayega. Vartmaan samay me Madhya Pradesh mein 51527 Ganv hai.
Abhi tak ke article me aapko Madhya Pradesh ke bare me lagbhag sab kuch bata diya gaya hai.
Ab aapko bataya jayega ki Madhya Pradesh mein ghumne ke liye koun koun si jagah hai vah bhi top 5 tourist place.
Madhya Pradesh mein top 6 tourist place.
1.Pachmarhi
Dosto agar aap ek prakriti premi hain to aap Madhya Pradesh me ghumne ke liye Pachmarhi se achi jagah aur koi nahi ho sakti.
Hoshangabad jile me sthit Pachmarhi Madhya pradesh ka ekmatra hill station hai jise Madhya Pradesh ka Shri Nagar bhi kaha jata hai.
Pachmarhi 1067 fit ki unchai par sthit hai. Agar aap Madhya Pradesh mein ghumne ke liye kabhi bhi jaye to ek bar Pachmarhi jarur chale jaye.
2.Ujjain
Ujjain Madhya Pradesh ki sabse pramukh Darshaniy sthal on me se yek hai jo bharat ke sabse pavitra shaharo me se ek mana jata hai.
Ujjain ko hinduon ke liye uchch dharmik sthal mana jata hai.
Dosto Ujjain ki khas baat yeh hai ki yahan sthit Mahakaleshwar Jyotirling bhagwan Shiv ki barah jyotirling mein se ek hai.
3. National Park
Madhya Pradesh mein bahut sare National Park hai unme se ek National Park Bandhavgarh National park aur ek Kanha National Park hai.
In National Park mein aap jangli jivo ko karib se dekh sakte hai.
In National Park me sabse jyada janwar me Tiger paye jate hai aur Tiger ke kaaran yeh National Park mashahoor hai.
Aur In National Park me bade aasani se Tiger dekh sakte hai. Dosto agar aap kabhi bhi Madhya Pradesh me ghumne jaye to
National Park me jarur jaye pahla National Park Bandhavgarh National Park aur dusra Kanha National Park jarur ghume.
4. Dhuandhar Falls In Jabalpur
Agar aap family ke sath kahi pikanik manane wali jagah par jana chahte hai to unme se ek Dhuandhar Falls hai.
98 fit ki unchai se girne wali narmada nadi ke manoram drshyo ke karan is sthan ko apni ek alag pahchan mili hai.
Aap yaha is khubsurat Waterfall ka anand udane ke sath sath yaha boating aur kebal car jaisi adventure activities kar sakte hai.
Yaha aap subah 6 baje se raat ke 8 baje tak bich ja sakte hai.
Agar aap kabhi bhi Madhya Pradesh me ghumne ke liye jaye to Dhuandhar Fall jarur jaye yaha par aap apne pariwar ke sath pikanik bhi mana sakte hai.
5. Khajuraho
Madhya Pradesh me Khajuraho ko bhartiy kala ka prateek ke rupe me dekha jata hai.
Yaha Khajuraho me 22 mandiro ka ek samuh hai jo vishv bhar ke yatriyo ke liye akarshan ke kendr bana hua khajuraho me mandiro ke sath
sath yaha ki prakritik sundarta aur jhile bhi dekh sakte hai.
Mandiro ke alava Khajuraho me do jhile bhi hai. Aap in jhilo ka bhi anand le sakte hai.
Agar dosto aap kabhi bhi Madhya Pradesh ghumne aaye to aap yaha aa sakte hai ghumne ke liye.
Yaha par aap mandir ka bhi darshan kar lenge aur jhilo ka maja bhi le sakte hai.
6. Gwalior
Gwalior Madhya Pradesh ka ek yetihaasik shahar me se ek hai. Is shehar ki sthapana Raja Surajsain dvara ki gaee thi.
Gwalior me ghumne ke liye kile, mahalo, mandiro ke liye vishwa bhar mein pahchan rakhta hai.
Gwalior shahar charon taraph se sundar pahadiyon aur hariyali se ghira hua hai.
Jay Vilas Mahal aur Surya Mandir jaisi jagah hai ghumne ke liye Gwalior mein. Mashahoor Shastriy sangitkar tansen ka makbara bhi isi shahar me sthit hai.
Har saal november aur december mahine me shahar me chaar divas tansen sangeet utsav bhi yaha ayojit kiya jata hai.
Dosto yeh sab jagah Madhya Pradesh ke top 6 tourist place hai.
Madhya Pradesh mein ghumne ke liye aur bhi jagah hai jaise ki Bhimbetka Rock Shelters, Satpura Tiger Reserve, Omkareshwar,
Jai Vilas Palace aur Kandariya Mahadev Temple yeh sab bhi Madhya Pradesh mein hai. Yaha par bhi aap ghumne ja sakte hai.
Dosto is post mein aapko Madhya Pradesh ke bare mein sab kuch bataya gaya hai ki Madhya Pradesh mein kitne district hai aur district ke name kya hai ?
Madhya Pradesh mein kitne mandal hai aur mandal ke name kya hai ? Aur Madhya Pradesh mein area ke anusaar sabse bada aur chota district koun sa hai ?
Madhya Pradesh mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai ?
Aur Madhya Pradesh mein kitne Ganv hai ? Madhya Pradesh mein top 6 tourist place koun se hai ?
Yeh sab topic aapko is post me cover kiya gaya hai vah bhi aasan bhasha mein.
Agar dosto aapko is post se tora bhi jankari prapt huha ho to is post ko jarur share kare taki aur bhi logo ko pata chal sake Madhya Pradesh ke bare mein.
Ise bhi padhe
- Jammu aur Kashmir mein kitne district hai
- Delhi mein kitne district hai
- Mizoram mein kitne jile hai
- Jharkhand ke sabhi jilo ke naam kiya hai
- Arunachal Pradesh me kitne district hai
- Andhra Pradesh me kitne jile hai
- Karnatak me kitne jile hai
- Telangana me kitne district hai ?
- Manipur mein kitne district hai ?
- UP mein kitne district hai
- Uttrakhand mein kitne district hai
- Bihar mein kitne district hai
- Himachal pardesh me kitne district hai
Leave a Reply