Jammu aur Kashmir mein kitne district hai ? Aur district ke naam kya hai ?

Jammu aur Kashmir mein kitne district hai ? Aur district ke naam kya hai ? Jammu aur Kashmir mein kitne Mandal hai ?

Aur Mandal ke naam kya hai ? Agar aap pata lagana chahte hai.

To aap bilkul sahi post par aaye hai . Is post mein aapko aasan bhasha mein bataya gaya hai ki Jammu aur Kashmir mein kitne district hai ? Aur district ke naam kya hai ?

Namaskar dosto swagat hai aapka is post mein. To dosto aaj ki is post mein aapko pata chalega ki Jammu & Kashmir mein kitne district hai. ]

Aur district ke naam kya hai ?

Aapko is post me Jammu & Kashmir ke bare me bahut kuch bataya jayega. Agar aap Jammu & Kashmir ke bare me janna chahte hai.

To is post ko jarur pura padhiyega.

Jammu aur Kashmir ki rajdhani Srinagar hai. Bharat mein Srinagar ko dharti ka swarg bhi kaha jata hai.

To chaliye ab hum jante hai ki Jammu aur Kashmir mein kitne district hai.

Jammu aur Kashmir mein kitne district hai ?

Jammu aur Kashmir mein kitne district hai ? Aur district ke naam kya hai ?
Jammu aur Kashmer district

Vartmaan samay mein Jammu aur Kashmir mein 20 district hai.

  1. Anantnag district
  2. Bandipora district
  3. Baramulla district
  4. Budgam district
  5. Doda district
  6. Ganderbal district
  7. Jammu district
  8. Kathua district
  9. Kishtwar district
  10. Kulgam district
  11. Kupwara district
  12. Poonch district
  13. Pulwama district
  14. Rajouri district
  15. Reasi district
  16. Ramban district
  17. Samba district
  18. Shopian district
  19. Srinagar district
  20. Udhampur district

Ab aapko yeh bhi pata chal gaya ki Jammu & Kashmir mein kitne district hai aur district ke naam kya hai.

Ab hum log jante hai ki Jammu & Kashmir mein kitne mandal hai ?

Jammu aur Kashmir mein kitne Mandal hai ?

Vartmaan samay mein Jammu aur Kashmir mein 2 Mandal hai.

  1. Jammu
  2. Kashmir 

Ab aapko yeh bhi pata chal gaya ki Jammu aur Kashmir mein kitne mandal hai. Aur mandal ke naam kya hai.

Ab hum log jante hai ki Jammu aur Kashmir mein area ke anusaar sabse bada. Aur sabse chota district koun sa hai.

Area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai ?

Jammu aur Kashmir mein area ke anusaar sabse bada district Kishtwar district hai. Kishtwar district ki area 7737 square kilo meter hai.

Jammu aur Kashmir mein area ke anusaar sabse chota district Shopian district hai. Shopian district ki area 312 square kilo meter hai.

Ab aapko yeh bhi pata chal gaya ki Jammu aur Kashmir mein. Area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai.

Ab hum log yeh jante hai. Ki Jammu aur Kashmir mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai.

Kashmir mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai ?

Jammu aur Kashmir mein sabse adhik population wala district Jammu district hai. Jammu ki population 2011 ke isaaf se 15,29,958 hai.

Dosto Jammu aur Kashmir mein sabse kam population wala district Kishtwar district hai. Kishtwar district ki population 2011 ke isaaf se 23,0696 hai.

Jammu aur Kashmir mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai yeh bhi pata chal gaya.

Ab hum log jante hai ki Jammu aur Kashmir mein gaon ki sankhya kitni hai.

Jammu aur Kashmir mein gaon ki sankhya kitni hai ?

Jammu aur Kashmir me kitne gaon hai yeh jankari agar aap prapt karna chahte hai. To aapko bata de ki Jammu aur Kashmir me 6768 gaon hai.

Ab aapko yeh bhi pata chal gaya ki Jammu aur Kashmir mein gaon ki sankhya kitni hai.

Ab hum log jante hai ki Jammu aur Kashmir mein ghumne ke liye famous jagah kon se hai.

Jammu aur Kashmir mein ghumne ke liye famous jagah. Tourist Pace

1.Srinagar 

Srinagar jise dharti ka swarg kaha jata hai. Sardiyo ke dino mein desh videsh se lakho ki sankhya mein paryatak yaha apni chhuttiya manane aate hai.

Srinagar mein ghumne layak kae khubsurat paryatan sthal maujud hai. Lekin yaha dal lakh jagah paryatako dvara sabse jyada pasand kiya jane wala sthal hai.

Iske alawa aap Mughal Garden, Shikara Ki Savari, Shankaracharya Mandir aur Dajikam Rashtriya Udyan ityadi ko dekh sakte hai.

Agar aap kabhi bhi Jammu aur Kashmir aaye to yaha jarur ghum le.

2.Mata Vaishno Devi Mandir

Trikut pahadiyo mein. Katra se 15 kilo meter ki duri par samundar tal se 1560 meter ki unchai par sthit Mata. Vaishno devi ki pavitra gufa mandir hai.

Mata Vaishno Devi Mandir Jammu aur Kashmir ke sath sath pure bharat ka lokpriya teerth sthal hai,.

Jaha har saal hazaro lakho teerth yatra Vaishno Maa ke darshan karne ke liye aate hai.

Mata Vaishno Devi ek dharmik teerth sthal hai, jaha teerth yatra 13 kilo meter ki paidal chadhai  karte hai.

Aapko ek bar jarur Mata Vaishno Devi ka darshan jarur kar lena chahiye.

3.Patnitop

Himalay ki barph  se dhaki chotiya ke antaheen maidani aur manoram drishyo ke  sath Patnitop prakritik premiyo ke liye best jagah hai.

Is jagah har saal hazaro paryatak yaha ghumne aate hai.

Patnitop Jammu aur Kashmir ki pramukh jagah mein se ek hai. Yaha aap traiking aur skating ka maza le sakte hai. 

Prakritik sundarta se bharpur. Patnitop tourist ke liye Jammu aur Kashmir mein ghumne ke liye sabse akarshak jagaho mein se ek hai.

Agar aap kabhi Jammu aur Kashmir aate hai to yaha jarur ghum le.

4. Amarnath Gufa 

Amarnath gufa bhagwan Shiv ke upasakon ke liye Bharat mein sabse mahatvapurn teerth sthal hai.

Dosto Amarnath gufa prakritik rup se barph se nirmit Shivling pradarshit karta hai.

Dosto Amarnath gufa dekhne har saal lakho tourist aate hai,

jise “Amarnath Yatra” ke naam se jana jata hai. Is shahar mein sthit Amarnath gufa ko teerth yatriyon ke liye ek shraddha sthana mana jata hai.

Amarnath gufa mein jaha bhagwan Shiv ne devi parvati ko jivan aur anant kaal ka rahasy bataye the.

Agar aap kabhi bhi Jammu aur Kashmir mein ghumne aate hai to yaha jarur aaye.

5.Sonmarg 

Sonmarg Jammu aur Kashmir mein Ganderbal district mein sthit hai. Ganderbal Town se lagbhag 62 km Sonmarg hai aur Srinagar se lagbhag 80 km duri par.

Sonmarg mein ghumne ke liye sabse achi jagah hai. Adventure ke shaukino ke liye yeh jagah jannat hai kyoki yaha aap trekking sport hai.

Sonmarg mein aap Trekking, Water river rafting kar sakte hai. Yaha Gadsar Lakh, Gangabal Lakh, Krishansar Lakh aur Vishansar Lakh jaise prasiddh jile(Lakh) hai.

Sonmarg ki asali sundarta ka anubhav karne ke liye June se October ke mahino ke dauran yatra karen.

Agar aap kabhi bhi Jammu aur Kashmir aate hai to is jagah ka maza jarur le.

Yeh sab jagah Jammu aur Kashmir ki famous jagah mein se hai. Aur bhi bahut se Jammu aur Kashmir mein ghumne ke liye jagah hai jaise ki :

  1. Manda Zoo Park
  2. Amar Palace
  3. Kalika Dham
  4. Dogra Art Museum
  5. Bahu Fort
  6. Bagh-e-Bahu
  7. Wular Lake
  8. Sri Ranbireshwar
  9. Dachigam National Park
  10. Baltal Valley

Dosto aap yeh bhi jagah ghum sakte hai Jammu aur Kashmir mein. Ab hum log jante hai ki Jammu aur Kashmir state ke kuch rochak tathya.

Fact Jammu aur Kashmir

Jammu aur Kashmir ke kuch rochak tathya :

  • Asia ki sabse badi saaf pani ki jhil Wular jhil Kashmir mein hai.
  • Jammu aur Kashmir Bharat ka ekmatra aisa rajya ha Jisme vidhan sabha karyakal 6 saal hai. Jabki bharat ke dusre sabhi rajyo ka karyakal keval 5 saal ka nirdharit hota hai.
  • Bharat ki sabse lambi surang Jammu aur Kashmir mein 11 km lambi hai. Jise Chinaani aur Nursery surang ke naam se bhi jana jata hai.
  • Bharat mein sabse jyada Kesar aur Akhrot ki kheti Jammu aur Kashmir mein ki jati hai, jo kaphi prasiddh hai.
  • Dhara 370 ke tahat Jammu aur Kashmir Bharat ka ekmatra rajya hai jiske do jhande (Flag) hai. Jisme se ek rajya ka jhanda aur dusra Bharat ka rashtriya dhwaj. Jammu aur Kashmir ke nivasi sarkar ki aagya se rashtriya dhwaj ke sath sath rajya dhwaj bhi phahara sakte hai.
  • 1947 ke pahle Jammu aur Kashmir mein hindu Raja Hari Singh tha jo Kashmir ka shasak tha. Yehi karan hai ki Pakistan yeh sochta hai ki Jammu aur Kashmir muslim kshetra hai jo Pakistan ka hissa hai.
  • Hinduo ke do bade teerth Vaishno Devi aur Amarnath gufa dono Jammu aur Kashmir mein hai.
  • Jammu aur Kashmir ka area 2,22,236 square kilo meter hai, jiski mukh bhasha Urdu, Dogri, Kashmiri Paharia aadi hai.
  • Jammu aur Kashmir ki rajdhani Srinagar hai iska kshetrafal 167 kilo meter hai.

Dosto aapko is post mein Jammu aur Kashmir ke bare me lagbhag sab jankari de di gai hai.

Jaise ki Jammu aur Kashmir mein kitne district hai aur district ke naam kya hai ?

Jammu aur Kashmir mein kitne mandal hai aur mandal ke naam kya hai.

Aur Jammu aur Kashmir mein area ke anusaar sabse bada aur sabse chota district koun sa hai ?

Jammu aur Kashmir mein sabse adhik aur sabse kam population wala district koun sa hai. Jammu aur Kashmir mein kitne gaon hai.

Aur Jammu aur Kashmir mein ghumne ke liye famous jagah kon se hai ?

Yeh sab topic aapko is post me bataya gaya hai vah bhi aasan bhasha mein. Agar aapko is post ki jankari achi lagi ho to is post ko jarur share kare.

Buy now Low price book

Buy now high price book

Ise bhi padhe

Online product kaise beche

Ladakh mein kitne district hai

Abdul Gaffar Khan ka Jivan parichay


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *